
Aaj mujhe hawa na jane kahan choo gayee
Mann main jindgi jene ke lalak bhool gaye
Kyon aaj dil main ek tharav sa hai
Jiese akhon ne ek sapna abhi buna sa hai.
Tum hawa ke jhonken ke taharan aaye
Mere atama ko jiesa cho kar chale aaye
Kyon tumse phir milne ke tamanna hai,
Jiesa akhon ne yahee sapna buna hai
Tumhari har baat ke gunj aabhe tak hai,
Mann ko jise kuch auro sunna abhi tak hai
Kyon mera dil tumhare luntne ke intzar main hai
Jise har raat ko hamesha savare ke tamana hai
Main jantee hun ke tum ek diwaswapn hoo
Per mujhe sayad isi sapne main jene hai
Kyon dil aaj tumse tumhee ko mang raha hai
Jise jindgi mian tumhere bina kuch bhee nahi hai
Dil baar baar khuda se iltaza kar raha hai,
Is sapane ko sakar hone ke dua mang raha hai,
Kyon mere dil tumhe jane ke izatat nahi deta,
Jise tumko jindgi ka sabab bana diya hai

